Is muqaam pe aake sochte hain
Ki kya yehi muqaam tha mera
Daulat paa li, sohrat loot li,
Har lajawab pakwaan ka swad le liya,
Kapde har mahenge pahen liye,
Duniya ki har khubsurati dekh li,
Tasveerein zindagi ke har pal ki kaid kar li
Ab Is muqaam pe aake sochte hain
Ki kya yehi muqaam tha mera
Batao bhala Kya lautaya jo mera karz tha
Are Kahan baanti maine apni khushiyaan
Kya sun saka baith ke kisi ka dard
Fursat hai kya mujhe dekhne ki kisi ke aansoon
Kya khilaya maine kisi ko ek bhi niwala
Haan yaar Is muqaam pe aake sochte hain
Ki kya yehi muqaam tha mera
Maa, Desh aur Ishwar ke prati teen kartavya hai
Jo maine apne paath mein padha tha
Pura kar sakun inko yehi hai meri tamanna
Shayad tab paa sakunga apna muqaam
Aur Safal hoga tab mera insaan banna
Is muqaam pe aake sochte hain
Haan ab yehi muqaam hai mera
- Raj
No comments:
Post a Comment