Mera nanha mehfooz aakhir kab talak hai ?
Qatl-e-aam aaur khauf ka manzar jab har taraf hai

Kilkariyaan jahan thi aaj wahan lahoo ki barbadi hai
Jahan besumaar khwab palte tha, aaj safed qabrastan hai

Ek hairanyat, ek sawal, ek kauf ab bhi hongi un chehron par
Goliyon ki bauchaarein ab bhi gunjti hongi un deewaron par

Beshaq mitti ki kafn odkar wo maasoom ruksat ho liye
"Alvida ammi abbu" shayad yehi labs apne khamos honton par liye

"Mujhe mat maro" shayad yehi kehne de dete ai zaalimon.
Unko maarne ka ek kaaran to de dete ai haiwaano

Kya haasil ho gaya tera maksad is khooni khel se?
Kya gunjegi jasn ki kehkahahat tere naakhush makaan se?

Ssach mein lagta nahin bhagwaan tu hai aas paas mere
Warna le leta in phoolon ko apne saayein mein tere

Kitni aankhein aaj us desh mein jaagti hongi
Maatam ki yeh ghadiyaan jaane kitni lambi hongi

Marham koi nahi is dard ka jo wo nanha de gaya
Aaram de un ruhoon ko jinko bewaqt le gaya

Khauf mein huun main bhi, darta huun bas yehi sochkar
Mera nanha, mera nanha mehfooz aakhir kab talak hai ?